Sirf hai Masih

 


Sirf hai MASIH aasha meri
Jyoti bal voh geet mera
Voh neev hai mazbut chataan
Aandhi sukha ya toofaan
Kya uncha prem gehri shaanti
Jahan bhay naa ho sangharsh bhi
Sahayak hai sab kuch mera
MASIHA ke prem mein main khada


MASIH mera insaan bana
Poorna KHUDAWAND hai janma
Dharmikta ka pyaara tofa
Payee prem ke badle ghrina
Jab kroos par YESHU mara
Tript ho gaya Krodh KHUDA ka
Har paap uspar dala gaya
YESHU ke mrityu mein main jiya


Gaada use zameen mein
Jag ka prakaash andhere mein
Phir mahima se ujjwal din mein
Jee uthaa kabra se phir se
Jaise khada woh Vijay mein
Shraap paap ka toota mujhpar se
Main uska hoon woh mera hai
MASIHA ke paavan rakht se


Mrityu ka dar na dosh hai
Yahi toh MASIH ka bal mujhme
Pehle saans se aakhir talak
YESHU likhta takdeer meri
Narak ki shakti Na saazishein
Un Haathon se mujhko chuda payein
Jab tak vo laute ya mujhko bulaae
YESHU ki shakti mein main khada

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *